Hi Friends, Kuch New Sikho Me aapka Sawagat hai aaj main aapke kuch sawalo ka jawab dene wala hu.
Jaise:----
Android Phone Me Automatic Wifi on / off Kaise Kare
Android Phone Me Automatic Bluetooth on / off Kaise Kare
Android Phone Me Automatic Data Connection on / off Kaise Kare
Android Phone Ko Auto Rebot Kaise Kare
Android Phone Ko Auto Shutdown Kaise Kare
Android Phone Me Automatic Wifi on / off Kaise Kare
Android Phone Me Automatic Bluetooth on / off Kaise Kare
Android Phone Me Automatic Data Connection on / off Kaise Kare
Android Phone Ko Auto Rebot Kaise Kare
Android Phone Ko Auto Shutdown Kaise Kare
To ab aapko to pata chal he gaya hoga ki is post me aaj hum kya kya sikhne wale hai aaj main aapko ek aise application ke bare me batane wala hu jo aapke in sabhi sawalo ka answer hai. Friends kuch dino se main apna phone me gane sunte sunte rat ko so jata hu or mujhe apna phone switch off karna yaad nahi rahta or usme puri raat song chalte rahte hai. To maine socha ki koi aise application ke upar research kiya jaye jisse mera phone apne aap swithoff ho jaye jitna time main usme dalu. To mujhe ek aise application mile hai jisse hum apne phone ko swithoff he nahi automatic wifi,Bluetooth,data and reboot kar sakte hai wo bhi automatic time ke anusar ye application mere liye bahut he use full hai or aasa karta hu aapke liye bhi bahut use full hogi. But is application ke 2 aise feature hai jo only root user ke liye hai 1. Auto shutdown 2. Auto reboot yani agar aap apna phone automatic shutdown or reboot karna chahte hai to aapka phone root hona jaruri hai. Agar aapko nahi pata hai ki root kiya hota hai or apne phone ko root kaise karte hai to aap humari dusri wali post padh sakte hai. To bate bahut hue chaliye Sikh lete hai.
Android Phone Ko Auto Shutdown Kaise Kare
Step 1:-----
Sabse phle aapko apne phone me ek application Download karni hai jiska nam hai Power Schedule download karne ke bad aap is application ko apne phone me install kare.
Step 2:-----
Ab aap is application ko open kare or Add Event Par click kare.
Step 3:-----
Uske bad aap apne event ko koi name da de. For example main apne phone ko auto shutdown karna chahta hu to main yaha par trun off likhuga. Aap yaha par kuch bhi likh sakte hai.
Step 4:-----
Ab 2nd number par aapko Event Time ka option dekhai dega aap yaha par select kar sakte hai ki aapka phone kitne time me auto shutdown hona chaiye. Jaise main yaha par select karta hu 9 pm kyuki main apne phone ko raat ke 9pm ke bad auto switch off karna chahta hu. aap apne pasand ka time select kare.
Step 5:-----
3rd option hai Repeat Event each isme app choose kar sakte hai ki aap kon konse day ko ye events repeat karna chahte hai.
Step 6:-----
4th option hai Event Type Isme aap choose kar sakte hai ki aapko kya auto on off karna chahte hai. For example :-- Bluetooth, Wifi, Data, Reboot, Power off to yaha par dekh sakte hai power off or reboot ke option me likha hai rooted only iska matlb ye 2 option sirf rooted device par he work karege. To mujhe to apna phone power off karna hai to main yaha par power off select karuge.
Step 7:-----
Ab aapko sabse niche ek last option dekhai dega Trun off / Trun On yaha par choose kar sakte hai ki aapko on karna hai ya off mujhe to apna phone off karna hai to mai off select karuga.
Ab aap simple Done Ke option par click kare.
Dosto done karne ke bad aapka events save ho jayega ab aapka phone aapke time ke anushar kam karega par dosto dhyan rahe agar aap apne phone ko switchoff or reboot karna chahte hai to aapka phone root hona jaruri hai agar aapka phone root hai to aap is application ko root permission Grant Kar de
to friends agar aapko ye post achhi lagi to aap niche comment karke jarur bataye agar aapko khi par koi bat samajh nahi aai to aap hume niche comment karke jarur bataye to or kya bas aise he kuch new sikho se jude rahiye or kuch new sikhte rahiye milte hai aise he next post me jai hind…………