Sunday, 29 January 2017

Shiva Pal

Free Domain Name Kaise Kharide or Blog Me Kaise Lagaye?




Hi Friends, aaj hum bat karne wale hai Free Domain Ke Bare Me Aaj mai aapko batane wala hu ki aap kaise apne blogger blog ke liye ek Free Domain le sakte hai or use apne blog me kaise laga sakte hai aaj mai aapko puri details me batane wala hu so puri post read kare. to sabse pahle hum bat kar lete hai ki is Free Domain Ka kya kya fayda hai or Kya Nuksan hai.


Free Domain Name Se Kya Nuksan Hai?

to sabse pahle hum bat kar lete hai ki free domain name lene se aapko kya kya nuksan ho sakte hai.


1. Sabse pahla jo nuksan hai wo ye hai ki aapko is free domain me .com ya .in ya org nahi milega yani mere kahne ka matlab ye hai jo paid domain hai wo aapko nahi melege to ab baat aati hai ki aapko kaisa domain mele to mai aapko bata deta hu ki aapko .TK , .ML .GF .CF .GQ  etc domain melege for example mere site ka name kuch new sikho hai to agar mai free domain leta hu to mere site ka url kuchnewsikho.tk ya .TK  .ML .GF .CF .GQ ho jayega.


2. ab aap pahle nuksan ke bare me to aap jan he chuke hai or dusra nuksan hai jo hai wo ye hai ki aap free domain se aap apne blog me adsense ke ads nahi laga sakte hai  esi wajha se maine bhi apne blog me abhi tak free domain nahi lagaya kyuki maine adsense ke ads lagaye hue hai apni site par or agar main apne blog par free domain lagata hu to adsense ke ads mere site me show nahi hote hai ye main personally cheak kiya abhi 4-5 din pahle maine apne blog me free domain lagaya .tk to ads show hone band ho gaye or jaise he free hataya to ads show hone lage isse saf yahi hai ki aap free domain se adsense ke ads nahi laga sakte hai.

to ye the kuch free domain use karne ke kuch nuksan ab bat kar lete hai ki free domain lene se aapko fayda kya hai.


Free Domain Se Kya Fayda hai ?


ab agar mai fayde ki bat karu to meri najar me to free domain ka ek he fayda hai ki agar aapne abhi tak domain nahi liya hai or aap blogger free domain .blogspot use karte hai to aap ise use kar sakte hai but is free domain se aap adsense ke ads nahi laga sakte hai or agar aapne abhi tak adsense ke ads nahi lagaye hai to ise use kar sakte hai or kafi log ise use kar bhi rahe hai mai to mai kyu free domain use nahi karta wo aapko pata chal he gaya hai.


to ab aap jan he chuke hai ki free domain ke kya fayde hai or kya nuksan hai or aapko free me kaisa domain name milega to aaiye ab main aapko puri details me bata deta hu ki aap free domian kaha se kharide ge.



Free Domain Kaha Se or Kaise Kharide ? Step By Step



Step 1:----

Sabse Phle aap freenom.com Site Par Jaye or direct Sing up Par Click Kare. or ab aapko niche gmail id se login karne ka option dikhai dega aap apni gmail id se login kare. ab aap soch rahe hoge ki singup gmail id se kyu to mai aapko bata deta hu is site me aap gmail id se login kare to jayada bahter hoga kyuki isse aapka time bachega or agar aap apna is site par account bana chahate hai to aap singup karke pahle apna account bana sakte hai uske bad singup kar sakte hai but mai apni gmail id se singin ho jata hu.




Step 2:----

ab aapko simple ek option dekhai dega Services ka aap us par click kare or fir register a new domain ke option par click kare.





Step 3:----

ab aapko jis name ka domain chaiye aap us name ko yaha par search kare for example mujhe Kuch New Sikho site ka domain chaiye to mai yaha par kuchnewsikho likh kar check Avaliability ke option par click karuga.




Step 4:----

ab aapne jo name search kiya hai uske kuch domain aapko dekhai dege for example .tk .ga .ml aapko jo bhi domain chaiye use select kare or uske samne ek Get it Now ka option hoga us par click kare. 




or  uske bad aap simple Cheak Out Par click kare.




Step 5:----

ab aapko aapke domain ke samne ek option dekhai dega Period Ka yaha se aap select kar sakte hai ki aapko ye domain kitne month ke liye chaiye ye domain 12 month tak ke liye free hai to mujhe ye domain 12 month tak ke liye he chaiye to mai 12 month select karuga aapko jitne month ke liye chaiye aap utna select kare par jayada se jayada aapko ye 12 month tak ke liye free melega or ab continue ke option par click kare.



Step 6:----

ab aapko yaha par apni kuch details dalni hai aap apni details dal kar Complete Order Par click kare.





Step 7:----

ab simple aap Click Here to go  to your client area ke option par click kare.





dosto ab aapne apna domain name to register kar diya hai ab bari hai ki hum ise apne blog me kaise jode to aaiye ab main aapko puri details me bata deta hu ki free domain ko apne blog me kaise jodte hai.



Free Domain Ko Apne Blog Me Kaise Jode ? Step by Step 



Step 1:----

sabse pahle aap blogger.com par login kare or aap jis blog me domain name add karna chate hai use select kare or ab Dashboard me jaye or setting ke option par click kare.




Step 2:----

ab aapko apne blog me ek Publishing ka option dikhai dega aap simple + Set up a third-party URL for your blog  ke option par click kare.





Step 3:----

ab aap yaha par apne free domain type kare for example mai kuchnewsikho.tk register kiya tha to mai yaha par www.kuchnewsikho.tk type karuga dhyan rahe aap apne domain ke aage www jarur laye or ab simple save par click kare.




Step 4:----

ab aap jaise he save par click karege to aapko ek error message aayega ye is liye aayega kyuki ki blogger ko ye nahi pata chal pa raha hai ki ye domain aapka he hai to iske liye hume apna domain verify karana padega tabhi ye save hoga.to aaiye sikhte hai ke jaise hum apna domain blog me verify karayege.



Step 5:----

doamin ko blog me verify karane ke liye simple aapko apne freenom.com site me login hona gmail id se or uske bad aapko services >>> My doamin ke option par click karana hai.




Step 6:----

aab aapke samne aapke register kiye hue domain aa jayege ab aapko apne domain name ke samne manage domain ka option dekhai dega aap simple us option par click kare.




Step 7:----

ab aapko Mange Freenom DNS Ka option dekhai dega aap us par click kare.


Step 8:----

dosto ab aapko yaha par thoda jayada dhyan se samjhna hai. ab aapko yaha par dns management ka option dekhai dega sabse pahle to aapko yaha par google ke 4 ip address add karne hai jo niche aap dekh sakte hai.

216.239.32.21
216.239.34.21
216.239.36.21
216.239.38.21


aapko ye ip address add karne ke liye simple aapko yaha par target ka option dekhai dega usme aap 1 ip address dale or fir dusra dalne ke liye aap More Records ke option par click kare or ek ek karke charo ip address add kare or abhi aapko save nahi karne hai.






Step 9:----

ab aapko bas thoda sa kam or karna hai. jab aapne apna domain blogger blog me save kiya tha to aapko ek error aaya tha jaisa ki aap niche photo me dekh sakte hai.




to aap uper photo me dekh sakte hai ki aapko yaha par Name, Label or Host field or Destination, Target or Points To field ka option dekhai de raha hoga or iske niche kuch url sa likh raha aapko ye dono url apne dns manegment me add karne hai jaha par aapne google ke 4 ip add kiye hai ye kaise karte hai iske bare me aapko puri details me batauga bas aapko yaha par thoda mind use karna hai. sabse pahle aapko dns mangement ke option me more recods par click karna hai or name me aapko www dalna hai jaise ke aapke blogger me error tha or Type me CNAME select karna hai or target me ghs.google.com dalna hai fir aapko dobara se more record par click karna hai. or name aapko or 3ipjvye6nvbu or type me CNAME select karna hai or target me gv-e6rz2d5263ptgq.dv.googlehosted.com ye dalna hai aapko apna dalna hai ye mere blog ka hai aapke blog me jo error hai wo aapko jo Destination, Target or Points tha aapko yaha par apna dalna hai or aapko save change par click karna hai bas ab aapka kam khatam hua.




ab aap simple blogger me ja kar apna domain name type karke save karde or Redirect par click kare. or ab wo save ho jayaga. or agar ab bhi save nahi hota hai to aap 10 -15 bad kare 100% save ho jayega.




to dosto agar aapko ye post achhi lagi to aap hume commnet karke bataye or agar aapko kahi par koi bat samjh nahi aai hai to aap niche commnet karke puch sakte hai or agar aapko is post ko padhkar samjh nahi aaya hai to niche wale video dekha sakte hai ye video maine is liye banai hai ki ye post bahut lamba hai aapko kahi kahi par kuch samjh nahi aaya hoga to aap is video ko dekh sakte hai to dosto or kya bas aise he kuch new sikho se jude rahiye or kuch new sikhte rahiye milte hai next post jai hind..........  

Shiva Pal

About Shiva Pal -

Hi Friends, Mera Name Shiva Pal Hai or Kuch New Sikho Site Maine Banai Hai mujhe logo ki help karna Achha Lagta Hai Main Is Site Par Computer, Internet, Software And Ethical Hacking Ki Jankari Hindi Me Share Karta Hu. And Aap Aise He Kuch New Sikho Se Jude Rahiye And Kuch New Sikhte Rahiye.

Subscribe to this Blog via Email :

26 comments

Write comments
Shiv Kumar
AUTHOR
12 February 2017 at 05:03 delete

tumne konsi theme lagayi he apne blog pe

Reply
avatar
Shiva Pal
AUTHOR
2 March 2017 at 19:00 delete

bro maine apne blog par mag dous template lagai hai

Reply
avatar
Unknown
AUTHOR
5 April 2017 at 21:33 delete

bhai maine CNAME laga liya h lekin fir blog me Redirect ka option nahi aa raha h please help me

Reply
avatar
Raiboy
AUTHOR
6 April 2017 at 04:28 delete

dost apki ye jankari bilkul galat hai ki free domain me adsense ke ads show nhi hote . mere ek blog me free domain hai and usme bahut ache se ads show hote hai

Reply
avatar
Shiva Pal
AUTHOR
9 April 2017 at 21:24 delete

bro mere di hui jankari bilkul sahi hai or ye maine personally try kiya hai....aapko koi galat femi hai....aap mujhe us blog ki link send karo....

Reply
avatar
Shiva Pal
AUTHOR
9 April 2017 at 21:26 delete

bro maine video banaya hua hai aap use dekh kar sikh sakte hai or thik se karo ho jayega

Reply
avatar
Unknown
AUTHOR
11 April 2017 at 02:20 delete

blog par paise kaise kamaye

Reply
avatar
Unknown
AUTHOR
11 April 2017 at 02:21 delete

kya app jante hai
ki blog par paise kaise kamaye

Reply
avatar
Shiva Pal
AUTHOR
21 April 2017 at 20:44 delete

bro agar aapka koi blog hai to aap google adsense apply kar sakte ho or apne blog par ads dikha kar paise kama sakte hai....google adsense ke bare me jayada janne ke liye aap youtube ya google se jankari le sakte ho

Reply
avatar
Sultan Singh
AUTHOR
6 May 2017 at 05:27 delete

sare record copy kar diye hai per nhi ho rha hai domain change

Reply
avatar
31 May 2017 at 04:31 delete

+ Set up a third-party URL for your blog me mereko URL contains illegal characters bataraha hai hai me

Reply
avatar
31 May 2017 at 19:32 delete

Set up a third-party URL for your blog link ko click karta hu meriwebside dalta hu to url containt illegal characters aisa kuch bata raha hai

Reply
avatar
Unknown
AUTHOR
16 June 2017 at 05:48 delete

bro mene to free domain liya tha www.realwap.ga isme to adsence chal raha hai.

Reply
avatar
Twinkel
AUTHOR
22 July 2017 at 11:08 delete

koi to bta do yr ki google pr photo kse dalte h

Reply
avatar
Anonymous
AUTHOR
10 August 2017 at 02:54 delete

Bahut hi interesting and informative post hai.
Thanks for sharing keep up the Good work

Reply
avatar
Unknown
AUTHOR
25 September 2017 at 21:46 delete

Nice Article Thanks For sharing
Download Game Here Technical Support Fullyloadgame:-http://www.fullyloadgame.com/

Reply
avatar
Unknown
AUTHOR
19 February 2018 at 09:06 delete

nice one
achaa lga pd kr
http://www.internetdost.in/2018/02/domain-kya-hai-kha-se-khride-free-me.html

Reply
avatar
5 June 2018 at 14:37 delete

Nice article, thanks for taking your time to elaborate it. The information provided can be very useful. I have a blog too, you can visit it at:

> Free Domain Name DOWNLOAD <

Reply
avatar
Unknown
AUTHOR
25 November 2018 at 00:07 delete

HOW TO BUY FREE DOMIN NAME, फ्री में डोमिन नाम कहाँ से मिलेगा और कैसे मिलेगा.?
मेने आपको पिछली पोस्ट में बताया था कि Domin name क्या होता है, और कैसे काम करता है, और साथ में यह भी बताया था कि आप Primium domin name कहाँ से ख़रीदे. लेकिन आज हम बात करेंगे फ्री डॉमीन की.
Read full artical :-
https://www.imyour.site/how-to-get-free-domin-name/

Reply
avatar
Anonymous
AUTHOR
9 September 2021 at 08:25 delete

But bro Domain registration Complete kar diya fir bhi My Domain me Register kiya huaa domain show hi nhi kar rha please Problem fix

Reply
avatar