Monday, 25 January 2016

Shiva Pal

Android Smartphone Root Kaise Kare – Learn In Hindi




Hello Dosto Kuch New Sikho Me Aapka Sawagat Hai Dosto Aaj Hum Aapko Sikhayege Ke  Android Smartphone Root Kaise Karte Hai. Android phone root karne se hum usko full customize kar sakte hai. Root kiye hua android phone me hum high level ke application chala sakte hai.  Phone root karne ke kai sare tarike hai par root karte samay agar humse kuch galti ho jaye toh phone Crash yani Damage bhi ho sakta hai. Phone root karne par aapko aapke mobile ka pura controll mil jayega. Rooting process bahot risky kam hai, Is liye aap apne  risk par Phone Root  kare. Agar aapka phone warranty me hai toh root karne se uski warranty company khatam kar deti hai. Jab aap koi unrooted phone use kar rahe hote hai tab aap sirf Simple use  istmal karte hai par root karne ke bad aapko pure oprating system ka controll mil jata hai.
Kingo root ek software hai jo kuch click me aapka android mobile root kar deta  hai. Or iska ek fayda or hai isme risk kam hai phone crash hone ke chances bahut  kam hote hai. to dosto baate bahut hue ab sikh lete hai apna Android Smartphone Root Kaise Kare.

Steps by Steps:---

NOTE :---
·         Root karte samaye phone, pc ya laptop band nahi hona chahiye.
·         Aapke  phone me jo bhi data hai usko copy karke rakhiye.
·         Apne phone ko kam se kam 75% charge kare.
·         .Root karne me Aap apne phone ke original data cable ka istemal kare.

Android Phone Root kaise kare.



Step 1:
Sabse Pahle aap kingo software ko download kare or install kare.

Step 2:
  uske bad Phone me  USB debugging mode anable kare. Settings me jakar developer
options par Tap kare Developer options me  USB debugging mode enable hoga usko enable kare .

Note:- Agar aapke phone me developer options nahi show ho raha  hai toh About Device me jakar Build number is option par lagatar 10 bar Tap kare developer options dikh jayega.



Step 3:  
Apne computer me Kingo root software open kare aur apna phone USB cable se apne phone  ko connect kare.

Step 4:  
Root button par click kare aur wait kare sara kam Kingo root kar dega thodi hi der me aapka phone root ho jayega.



 
Step 5 : Abi aapka phone successfully root ho gaya hai .


To dosto dekha aapne phone ko root krna kitna simple tha to kuch new sikho se jude rahiye or kuch new sikhte rahiye.



Shiva Pal

About Shiva Pal -

Hi Friends, Mera Name Shiva Pal Hai or Kuch New Sikho Site Maine Banai Hai mujhe logo ki help karna Achha Lagta Hai Main Is Site Par Computer, Internet, Software And Ethical Hacking Ki Jankari Hindi Me Share Karta Hu. And Aap Aise He Kuch New Sikho Se Jude Rahiye And Kuch New Sikhte Rahiye.

Subscribe to this Blog via Email :

1 comments:

Write comments
wbeen
AUTHOR
30 January 2016 at 06:27 delete

post achi hai mager kingo ka download link bhi aap add kro to ye post or achi hogi
www.allrpcapp.com jese me apni site me dalta hu ok

Reply
avatar