Hii Friends, aaj hum bat karne
wale hai screenshot ke bare me aaj me aapko puri details me batane wala hu ki
Screenshot kya hota hai or Aap Android Phone me screenshot kaise lete hai ya le
sakte hai. To sabse pahle main aapko bata deta hu ki screenshot hota kya hai
dosto screenshot ek humare phone ke programs ki photo ( picture ) hoti hai to
ab aap ye soch rahe hoge ki photo to hum apne mobile ki apne dusre phone se bhi
le sakte hai to aap bilkul sahi soch rahe hai aap apne dusre phone se bhi le
sakte hai but aapko yaha par 2 main problem aayegi first ki aap apne phone ki
body ki to achhi photo le sakte hai par screen ke andar jo uske programs ki
photo hai wo clear nahi aayegi. And 2nd all time aapke pas dusra phone nahi ho sakta hai.
par agar aap ab bhi screenshot ko lekar thoda confuse hai to aap niche wali
photo dekh sakte hai ki screenshot kya hota hai.
aap dekh sakte hai ki ye photo
maine apni phone se li hai aise photo ko hi screen shot khate hai. or main
aapko bata du ki screenshot bahut hi kam ka function hota hai humare phone me
kyuki agar aap koi dusri country me rahte hai or aapke phone me koi problem hai
aa rahi hai or aap kisi dusre se bolte hai ki mere phone me ye problem aa rahi
hai to kya aap iska solution bata sakte hai to wo bhi thoda confus hoga ki pata
nhi kya problem hai par agar aap use screen shot send karke apni problem bataye
to wo bahut jaldi samjh jayega.or aap agar mere post read karte hai to aapne
bhi dekha hoga ki main bhi aapko thik se samjhane ke liye post me screenshot
bhi upload karta hu jisse aapko bhi ache se samjh aaye. To main aapko bata deta
hu ki screen shot kaise lete hai apne android phone me par usse pahle main
aapko bata deta hu ki screenshot lene ke kuch mobail me alag method hai but
main aapko 2 sabse easy and achhe method bata deta hu jo ki lagbagh sabhi phone
me work karte hai bina application ke to jayada der na karte hue chaliye suru
karte hai.
First Method
Friends jo sabse pahla method hai
wo sabhi Samsung phone me work karta hai par main ye nahi kh raha hu ki ye
Samsung ke alawa dusre phone par nahi karta ye method dusre phone par work
karta hoga par maine ye method jayada tar Samsung ke phone par try kiya hai to
is liye main aapko bata raha hu or agar apka phone Samsung ka nahi hai to aap
second wala method try kar sakte hai to Samsung ke phone me screenshot lene ke
liye aapko simple Home Button+Power button dono ko ek sath kuch time tak press
karke rakhna hai to aapka screen shot capture ho jayega aap gallery me ja kar
dekh sakte hai.
Note:-----
Home Button+Power button dono ko
ek sath hi press karna..
Second Method
Second method jo hai wo lagbhag
sabhi mobail par work karta hai for example: Micromax,Lava,Intex,Sony,Lenovo.mi
etc ab aap ye mat sochna ki jo phone ki company maine yaha par likhi hai us
company me to humare phone aate hi nahi hai to main aapko bata du ki ye maine
kuch company likhi hai jisme lagbagh ye method work karta hai to aapko in
mobile me screenshot lene ke liye simple Volume Down Key + Power Key dono ko ek
sath kuch time tak press karke rakhna hai to aapka screen shot capture ho
jayega aap gallery me ja kar dekh sakte hai.
To Friend aaj maine aapko 2
Simple Method bataye hai or agar aapke phone me inme se koi bhi method work
nahi karta hai to simple apne phone ki company and model no type karke google
par search karke sikh sakte hai ya fir aap niche comment box me comment kar
sakte hai aapki puri help ki jayegi to or kya bas aise hi kuch new sikho site se
jude rahiye or kuch new sikhte rahiye.
1 comments:
Write commentsWe enjoyed reading this article. Your articles are very helpful. I hope you keep taking similar posts.
Reply