Friday, 20 January 2017

Shiva Pal

Twitter Kya Hota Hai? Twitter Par Account Kaise Banaye - Kuch New Sikho




Hi Friends, aaj Hum baat karne wale hai ki twitter kya hota hai or twitter par account kaise banaye Jaisa ki aap jante hai aaj kal sabse jayada popular social networking site Facebook,Google Plus, Twitter hai. or main janta hu ki kuch log aise hai jinhone abhi tak bas twitter ka name he suna hai kabhi twitter chalaya nahi hai to maine  socha ki aapko aaj twitter ke bare me bata du jisse aap twitter par account banakar twitter ka bhi maja le sakte to aaj is post me main aapko yahi batane wala hu ki twitter kya hai or twitter par account kaise banate hai to jayada time waste na karte hue chaliye suru karte hai.

Twitter Kya Hai?

Friends Twitter ek Social Networking Site hai jaise Facebook, Google Plus hai aise he ye bhi ek social Networking Site hai or isme hum 140 Sabdo me Message Yani Twit kar sakte hai. agar aapka is par account hai to twit ko share bhi kar sakte hai and twit read bhi kar sakte hai or agar aapka twitter par account nahi hai to sirf dusre logo ke twit ko read kar sakte hai to aaiye jante hai twitter par account kaise banate hai.  

Twitter Par Account Kaise Banaye

Step 1:-----

First to all, aap twitter ki site www.twitter.com par jaye or Signup Ke option par click kare.

Step 2:-----

ab aapke samne ek Form ya khul kar aayega usme aapko apni details dalne hai.


1. Apna Full Name Likhe.
2. Isme aap apna phone Number ya Email id dal sakte hai.
3. Ab aap apne Twitter account ke Liye Password Dale.



ab aap Signup ke option par  click kare.




Step 3:-----


ab agar aapne email add kiya hai to email verify ka or agar mobile number add kiya hai to mobile number verify ka option show hoga.ab aapne jo email ya phone number add kiya hai us par ek 6 number ka verify code aaya hoga ab aap aapna verify code dal kar verify ke option par click karke apna account verify karle.




Step 4:----- 
Ab aap apna account ke liye ek username Chune jo pahle se kisi or ka na ho. ab aap apna user name likh kar Next ke option par click kare.


Usse phle main aapko bata deta hu ki aapka twitter username kaise hona chaiye or isse kya kya fayde milte hai.
  1. user name aapki twitter profile ka url hota hai. For Example mere twitter ka user name @shivapal0909 hai to mere profile ka url https://twitter.com/shivapal0909 hoga.
  2. username wo name hota hai jo humare follower ko hume direct message karne me kam aata hai or hume kisi bhi post me add karne ke kam bhi aata hai.
  3. hum apna user name kabhi bhi badal sakte hai but aap jo bhi new username select karte hai wo pahle se kisi or ka nahi hona chaiye.
  4. jo username aap chunte hai wo 15 sabdo se kam ho or usme admin or twitter sabd nahi hona chaiye.

ab aapka Twitter account lagbhg ready hai ab twitter ka welcome page open hoga aap Let's Go ke option par click kare.jaise he aap Let's Go ke option par click karege to aapse usme aapke interest ke bare me pucha jayega aap kuch di hue option me 2-3 interest select kare or fir continue par click kare.





Step 5:-----

ab aapko kuch famous logo ki id show hogi ab aapko unhe follow karte hue aage badhna hoga aap Follow 40 & continue par click karke aage badhe ab aap soch rahe hoge ki mai to in logo ko janta bhi nahi hu to main inhe follow kyu karu to aapko tention lene ki koi jarurat nahi aap inhe bad me unfollow bhi kar skate hai.

Step 6:-----

ab aapse aapko apni profile picture upload karne ke liye kaha jayega aap apna profile picture dal kar countinue par click kare agar aapko apna profile picture upload nahi karna hai to aap simple Skip this step for now ke option par click karke aage bad sakte hai.



to friends ab aapka account fully ready hai ab aap twitter par full injoy kariye to friends aaj humne kya sikha aaj humne sikha ki twitter kya hai or twitter par account kaise banate hai to agar aapko fir bhi kahi par koi baat samajh nahi aai hai to aap mujhe niche comment kar sakte hai main aapka reply jarur karuga to or kya dosto aise he kuch new sikho se jude rahiye or kuch new sikhte rahiye milte hai next post me good bye...

Shiva Pal

About Shiva Pal -

Hi Friends, Mera Name Shiva Pal Hai or Kuch New Sikho Site Maine Banai Hai mujhe logo ki help karna Achha Lagta Hai Main Is Site Par Computer, Internet, Software And Ethical Hacking Ki Jankari Hindi Me Share Karta Hu. And Aap Aise He Kuch New Sikho Se Jude Rahiye And Kuch New Sikhte Rahiye.

Subscribe to this Blog via Email :