Tuesday, 31 January 2017

Shiva Pal

All Samsung Mobile Me TWRP Custom Recovery install Kaise Kare? using Odin Flash Tools





Hi Friends, Kuch New Sikho Me aapka sawagat hai or aaj hum bat karne wale hai ki Samsung Ke Sabhi  Android phone Me Custom Recovery yani twrp recovery install Kaise Karte hai. dosto bahut se logo ka yahi sawal rahta hai ki hum apne samsung phone me twrp cutom recovery install kaise kare but unhe koi tarika nahi milta kyuki bahut se tarike internet par hai jisse aap apne android me twrp custom recovery install kar sakte hai but usme aapko Flashify app se twrp recovery install karne ke liye batate hai. but dosto us method me ek problem aati hai ki kuch phone me flashify app se twrp recovery install karte time wo hang ho jata yani wo atak jata hai ye maine personlly guest kiya hai or kuch phone to aise hai ki flashify me un model ki Recovery Image he nahi milti hai or ye bat aap sabhi jante hai agar aapne flashify app use kiya hoga to but aaj mai aapko batane wala hu ki aap kaise apne samsung phone me twrp recovery install kaise kar sakte hai bilkul bina kisi risk ke. chaiye aapka phone koi bhi samsung model ka ho jo trick aaj mai aapko batane wala hu wo sirf samsung phone user ke liye agar aapka phone samsung ka nahi hai to ye method aapke phone me work nahi karega.




Friends mere pas ek samsung ka model gt-7582 phone hai or mai usme kam se kam 1-2 month se custom recovery Twrp flash karna chahta tha kyuki aap sabhi jante hai ki jab tak humare phone me twrp recovery intall nahi hogi jab tak hum custom rom install nahi kar sakte or root bhi nahi kar sakte hai. kyuki samsung ke kuch phone aise hai jo kingroot apk or kingoroot software se ho jate hai jaise core 2 but samsung ke jayada tar phone twrp se he root hote hai wo kisi application se nahi hote hai ye bat bahut log jante hai. jaise samsung :- 7582,7562,J2,J5,J7 ETC ko aap kisi application se root nahi kar sakte hai in phone me aapko pahle custom recovery Twrp intall karni padti hai uske bad aapko supersu zip flash karni padti hai tabhi jake ye root hote hai. but mujhe kuch method aise mile ki jisme mera phone hang ho jata tha or twrp recovery nahi ho pati thi. but mujhe internet par ek aisa tarika mila jisse mera samsung gt-7582 me twrp flash ho gya bina kisi risk ke or easly or maine apna phone root bhi kar liya or custom rom bhi flash kar li to friends aaj mai aapko is post me puri details me batane wala hu ki Custom Recovery Kya Hoti Hai or aap apne samsung Android phone me twrp recovey install kaise kar sakte hai to jayad der na karte hue chaliye suru karte hai.





Custom Recovery Kya Hoti Hai ?

Friends Humare Android Smartphone me phle se Default Recovery install Rahti hai jo company ki taraf se aati hai use hum Stock Recovery kahte hain Jisme hume limited Function hi milti hai. Or usme hum jayada customize nahi kar sakte hai. Isliye hume jarurat padti hai Custom Recovery ki jisme aap bahut kuch experiment kar sakte hai.Custom Recovery install karne ke baad aap apne  Android Phone me Custom ROM install kar sakte hai or kuch bhi flash kar sakte hai. But ab bat aati hai ki custom rom kya hoti hai to mai aapko simple language me bata deta hu kyuki aage me iske bare me ek new post likhuga to custom rom Custom ROM ka matlab ki Agar aapke Android Phone me Lollipop version ya or koi version hai aur aap usko Marshmallow ya or kisi  Version me Upgrade karna chahte hai lekin abhi tak uska official update nahi aaya hai toh aap custom ROM se hi aapne phone Marshmallow me Update kar sakte hain.




All Samsung Mobile Me TWRP Recovery install Kaise Kare? using Odin Flash Tools

Sabse pahle bat karte hai ki twrp custom recovery install karne ke liyo aapko kya kya chaiye.





Requirement 

1. Samsung Android Phone ( Jisme TWRP Custom Recovery Flash Karna Chahte Hai)
2. Computer / Laptop
3. Odin Flash Tool ( Download Link )
4. Twrp Custom Recovery File ( Download Link )
5. USB Data Cable
6. Samsung USB Driver ( Download Link )




Dosto mai yaha par apna phone jo ki Samsung GT-7582 Hai usme aapko twrp recovery flash karna sikhaunga but ye method sabhi Samsung Android phone me work karta hai but yaha par mai aapko ek bat bata deta hu ki jo uper maine twrp recovery ka download link diya hai wo samsung gt-7582 ke liye hai. agar aapka koi or model no hai to aap apne phone ke liye dusri twrp recovery install kare. download karne ke liye aap simple google par apne phone ka model no likh kar or last me twrp custom recovery file likh kar search kare or file download karle. For Example :-- agar mera phone samsung GT-7582 hai to mai simple  s7582 twrp recovery file likh kar search karunga or download kar lunga. to ab aapko pata chal he gaya hoga ki aapko twrp kaise download karni hai apne phone ke liye chaliye ab step by step suru karte hai or ha odin yahi kam kar jayega aap uper download link se download kar lo aap.





Step 1:----

Sabse pahle aap apne computer/laptop me usb driver install kare usb driver download link maine aapko upar di hui hai aap waha se download kar sakte hai. agar aap apne computer laptop me usb driver install nahi karte hai to aapka phone odin se connect nahi hoga.



Step 2:----


ab Sabse Pahle aap apne phone ko downloading mode me le jaye. download mode me le jane ke liye aap simple apne phone ko shutdown kare. or fir home button+volume Down button+power button ko ek sath daba kar kuch time tak press kare fir aapka phone downloading mode me start hoga jaisa ki aap niche photo me dekh sakte hai.








Step 3:----

ab aapko 2 option dekhai dege ki continue ke liye volume + button badaye or restart karne ke liye volume - key badaye to aap simple volume + key dabaye or downloading mode me chalaye jaye. Sabhi samsung phone ko  home button+volume Down button+power button ko daba kar he downloading me laya jata hai.






Step 4:----

ab aap simple Odin Flash Tool ko open kare or apne phone ko usb cable se computer se connect kare or jaise he aapka phone odin se connect hoga to aapko odin me ek sky blue color ki line dekhai degi jaisa ke aap photo me dekh sakte ha
i.






Step 5:----

ab aap simple odin flash me AP par click kare or jaha par bhi aapne twrp custom recovery ko download karke rakha hai waha jakar select  kare or load kare. ab aapko kuch time wit karna hai jab tak aapko odin me succesfully ka message na aa jaye or fir Start par click kare.








Step 6:----


Friends ab bas aapko 10-15 Second lagegi twrp flash hone me or jaise aapke phone twrp successfully flash hogi to aapko odin me pass ka message show hoga or aapka phone restart ho jayega.



ab aap apne phone ko usb cable se hata de ab aapke phone twrp flash ho chuki hai ab aap apne phone me custom rom flash kar sakte hai. to friends aaj maine aapko is post me pura khol khol kar samjhaya ki custom recovery kya hai or ise apne samsung phone me kaise install kare to friends agar aapko kahi par koi bat samjh nahi aai hai to aap niche comment box me comment karke puch sakte hai. koi bhi problem is post se releted aapki puri help ki jayegi to milte hai next post me........





Note :------


  • Ye Method Only Samsung User Ke Liye He Hai, Agar aapka Phone Samsung Ka nahi Hai to Ye Method Aapke Phone Me Work Nahi Karega.
  • Twrp recovery install karte time agar aapko pass Ka message aa jaye or fir bhi aapke phone me twrp recovery install nahi hui hai to aapko pahle apne phone ka software change karna padega or fir dobara twrp flash karni padegi tabhi jake aapke phone me twrp recovery install hogi kyuki ye maine personally dekha hai bahut phone me. or aap kisi bhi mobile dukan par puch sakte hai agar wo software engineer hoga to wo aapko is question ka ans jarur dega. mai aapse koi bat is liye nahi chhupa raha hu jisse aapko bad me koi dikkat na ho or ye wali bat aapko koi bhi nahi batayege. 
for Example:-- Samsung GT-7562,A3,J2,J5 ETC

Shiva Pal

About Shiva Pal -

Hi Friends, Mera Name Shiva Pal Hai or Kuch New Sikho Site Maine Banai Hai mujhe logo ki help karna Achha Lagta Hai Main Is Site Par Computer, Internet, Software And Ethical Hacking Ki Jankari Hindi Me Share Karta Hu. And Aap Aise He Kuch New Sikho Se Jude Rahiye And Kuch New Sikhte Rahiye.

Subscribe to this Blog via Email :

6 comments

Write comments
Rule Breaker
AUTHOR
31 January 2017 at 04:17 delete

Bhai bhaut acchi post hai thanks for sharing

Reply
avatar
Unknown
AUTHOR
30 August 2017 at 15:52 delete

Frp k liye Kya kre j2 2015

Reply
avatar
Unknown
AUTHOR
28 September 2017 at 20:06 delete

bhaut hi achhi post ha bhai





Mera phone samsung galaxy s4 GT-I9515 ME kaam karegaya nhi

Reply
avatar
Admin
AUTHOR
7 September 2019 at 04:38 delete

bohot achi post h bro
mager mera mobile phone
samsung galaxy v sm-g313
he mera TWRP RECOVERY install nahi hua
me Apna Software Change kaise. karun pleas halp me. Bro
¿》¿¿¿¿

Reply
avatar