Hi, Friends Kuch New Sikho me aapka sawagat Karta hu aaj hum baat karne wale Domain Name Ke bare me aaj is post me mai aapko puri details me batauga ki domain name kya hota hai. domain name in hindi dosto aapne domain name ka to naam suna he hoga or aap janna bhi chahte hoge ki domain name kya hai to aaj is post me hum domain name ki puri jankari hasil karege to jayada der na karte hai hue chaliye suru karte hai.
Domain Name Kya Hota Hai?
dosto sabse pahle baat
kar lete hai ki domain name kya hai. dekhiye internet ki duniya me sabhi
website ka ek unique address hota hai jisse us website ke pahchan ki jati hai
ye thik usi trah hai jaise kisi bhi mobile ki pahchan uske number se ki jati
hai. for example aapke ghar ki pahchan aapke ghar ke address se hoti hai isi
trah internet ki duniya me kisi bhi website ki pahchan uske domain name se hoti
hai. dosto jab internet suru he hua tha to us time internet par bahut kam
website thi to us time kisi bhi website ka domain name nahi hota tha us time
website ka address ek IP Address hota tha jo kuch is trah hota tha.
For example:-
233.222.111.102
website ka ip address kuch is trah hota tha jaisa ki aap uper dekh sakte hai. par jaise jaise internet badhta gaya or website bhi jayada hone lagi to future ko dekhte hue domain name ki suruaat hui yani sabhi website ka ek domain name banaya gaya. jise aaj hum kisi bhi website ka url bhi kahte hai.
For example:-
www.KuchNewSikho.com
jab
hum apne internet browser me kisi website ka url dalte hai to domain name
server par ip address me badal diya jata hai or hum us website ko tak pahuch
jate hai.
dosto
domain name ke kuch Level hote hai jaise mere website ka domain
www.kuchnewsikho.com hai to is domain me 3 level hai.
For example:-
Top Level Domain Name
- .com
- .org
- .in
- .net
- .gov
- .get
- .edu
- .mil.
- .co.in
- .tv
- .info
- .co
- .biz
- .tk
- .ml
- .ga
- .cf
- .gq
to
Friends ab aapko domain name ke bare me to pata chal gaya hoga ab bat karte hai
ki domain name kaha se kharide waise to domain name kharidne ki bahut se
website internet par hai. but aaj main aapko kuch Best site ke name bata deta
hu jaha se apni website ke liye domain name kharid sakte hai.
To friends ye thi kuch
website jaha se aap apni website ke liye domain name kharid sakte hai or agar
aapke pas domain name kharidne ke liye paise nahi hai to aap humari pahle wali
post padh sate hai us post me maine aapko puri details me bataya hai ki free
domain kaise kharide or blog me kaise jode or free domain lene se kya kya fayde
or nuksan hai to agar aapko free me domain name lena hai to aap humri pahle
wali post padh sakte hai to aaj humne puri details me jana ki domain name kya
hai or agar aapke man me koi sawal ya sujhav hai to aap hume niche comment
karke bata sakte hai to aap bas aise he kuch new sikho se jude rahiye or kuch
new sikhte rahiye milte hai aise next post jai hindi.....
1 comments:
Write commentsMore appreciable. Thank you sharing
ReplyBitcoin for Web Design | Pay Bitcoin for Web Design | Hubli It companies| It companies in Hubli