Thursday, 19 January 2017

Shiva Pal

Facebook Account Kaise Banaye? Learn in Hindi






Hello Friends, Agar aapka facebook par account nahi hai to is post ko jarur padhe kyuki is post me batauga ke facebook kya hai or is par account kaise banate hai to dosto chaliye sikhte hai facebook par account kaise banate hai.

Facebook Kya Hai ?

Facebook ek social networking site hai. Jise 2004 me mark zuckerberg ne banaya tha or aaj facebook duniya ke no : 1 social networking site me se ek hai. Facebook par hum apna account bana kar apne dosto se jude rah sakte hai facebook par new friend banakar unse online chating  kar sakte hai or video calling , voice calling bhi kar sakte hai. or ye ek dam bilkul free hai to chaliye jante hai ki facebook account kaise banate hai.

Facebook  Account Create Kaise kare Step by Step Puri Jankari.

Step 1:-----

Sabse pahale aap www.facebook.com ke site par jaye.


Step 2:-----

Fir aapko ek registration form dekhai dega usme aap apni details dale.



1.apna naam dale.

2. apna mobile number ya email id dale.
3. Re-enter mobile no ya email id.
4. New Password dale.
5.apni date of birth  dale
6.ab male/female dale
7. Create an account par click kare.

Ab apni email id khole us par Facebook se ek email aaya hoga aapki id ko verify karne ke liye. Facebook se jo email aaye hai usko khole or conformation link par click kare to aap facebook par redirect hoge. bas ab aapka account ban gaya hai.ab aap apne dosto se online chatting kariye or khub injoy kariye to friends aaj hume sikha ki facebook kya hai or facebook par account kaise banate hai. to or kya bas aap kuch new sikho se aise hi jude rahiye or kuch new sikhte rahiye milte hai aise hi agli post good bye.





Shiva Pal

About Shiva Pal -

Hi Friends, Mera Name Shiva Pal Hai or Kuch New Sikho Site Maine Banai Hai mujhe logo ki help karna Achha Lagta Hai Main Is Site Par Computer, Internet, Software And Ethical Hacking Ki Jankari Hindi Me Share Karta Hu. And Aap Aise He Kuch New Sikho Se Jude Rahiye And Kuch New Sikhte Rahiye.

Subscribe to this Blog via Email :