Wednesday, 25 January 2017

Shiva Pal

Android Phone Se Computer/Laptop Me Internet Kaise Chalaye


Hello dosto, kuch new sikho me aapka sawagat hai aaj hum aapko sikhayege ke android phone se computer me net kaise chalaye dosto mujhse bahut se logo ne puchha hai ke  android phone se computer me net kaise chalaye to dosto mai aapko bata du ke android phone se computer me net chalana bahut he aasan hai dosto aksar kya hota aap apne computer me net chalana chahte hai aise me aapke pas android phone to hota hai lekin  modem ya internet connection nahi hota hai to dosto  aapko tention lene ke jarurt nahi aap apne android phone ka istemal kareke apne computer/Laptop me net chala sakte hai to chaliye dosto sikh lete hai android phone se computer me net kaise chalaye.



Android Mobile Se Computer Me Internet Kaise Chalaye


Step 1:----

Sabse pahle aap apne Android Phone ko USB CABLE se  Computer ya Laptop se Connect kare.


Step 2:----


Apne Mobile ka DATA ko On kare aur check karle ki Mobile me Internet thik se chal raha hai ya nahi.



Note:- jab aapke phone me internet chalega tabhi aap apne computer me internet  chala payege isliye thik se cheak kare.




Step 3:----

Ab Setting me jaye. Aur Wireless & Hotspot par click kare.





Step 4:----

Ab Thethering & portable hotspot par click kare.




Step 5:----

 Ab USB Tethering Option par click kar ke Enable kar de.





Step 6:----

Ab aapka Computer Mobile se Connect ho chuka hai. Ab aap taskbar me niche Right side me dekh sakte hai.







Ab aap apne Computer me Internet chala sakte hai to dosto ab aap sikh chuke hai android mobile se computer me internet kaise chalaye to dosto kuch new sikho jude rahiye or kuch new sikhte rahiye milte hai aise he next post me jai hindi..........

Shiva Pal

About Shiva Pal -

Hi Friends, Mera Name Shiva Pal Hai or Kuch New Sikho Site Maine Banai Hai mujhe logo ki help karna Achha Lagta Hai Main Is Site Par Computer, Internet, Software And Ethical Hacking Ki Jankari Hindi Me Share Karta Hu. And Aap Aise He Kuch New Sikho Se Jude Rahiye And Kuch New Sikhte Rahiye.

Subscribe to this Blog via Email :