Hello friends,
Dosto agar aapke pas PC hai or
aap us par password lagana chahte hai jisse aapke PC par aapke alawa koi bhi
work na kare. To aaj ke post aapke liye he hai agar aapko PC par password lagana nahi aata hai to aap is
post ko read karte rahiye kyuki aaj is post me hum sikhege PC par password kaise lagate hai. Dosto password
lagane ke liye koi bhi software ke jarurat nahi hai kyuki jayada tar har
windows me password lagane ke option hote hai to dosto chaliye sikhte hai apne PC
par password kaise lagate hai.
PC Par
Password Kaise Lagaye
Step 1:-----
Sabse pahle aap start menu ke
button par click kare or Use Account
ke option par click kare.
Step 2:-----
Ab Create a Password For Your Account Ke option pas click kare.
Step 3:-----
1. New
Password - Me apna password dale jobhe aapko apne PC par lagana hai.
2. Confirm New Password – Me dobara apna password dale jo aapne new
password me dala tha.
3. Type a Password Hint- hint dale
agar aapko kabhi Apna password thik se yaad nahi aa raha ho to aap apna dala
hua hint dekh kar samaj jaye ke humne kya password dala hai.
Ab Create Password par click
kare.
Dosto ab aapke pc par password
lag gaya hai ya to aap apne PC ko
restart karke cheak kar lejiye ya agar aap apne PC restart karna nahi chahte hai to windows +L
button daba kar cheak kar lejiye. To Dosto humne pc par password lagana to sikh
liya hai lekin agar aap pc se password ko remove karna chahte hai yani password
ko hatana chahte hai to is post ko read karte rahiye.
PC Se Password Ko Remove Kaise Kare
Step 1:-----
Dosto Jaha se aapne password
Lagaya tha waha par ek option aata hai Remove
Your Password to is option par click kare.
Step 2:-----
Ab aapke samne ek windows open
hoge isme aapko wo wala password dalna hai jo aapke pc me laga hua hai to
password dalkar Ramove Password par click kare
Dosto ab aapka password remove ho
chuka hai to dosto aaj humne sikha ke apne PC par password kaise lagate hai or
use remove kaise karte hai. Kuch new sikho se jude rahiye or kuch new sikhte
rahiye.