Hello dosto , kuch new sikho me aapka sawagat
hai aaj hum sikhege ke Microsoft office word se files par password kaise lagate
hai dosto lekin sabse pahla sawal to ye uthta hai ke hum files par password
lagaye kyu dosto ho sakta hai ke aapne bahut mahnat karke koi files banai or usme koi bahut important data hai jo aapko
bahut sambhal kar rakhne hai lekin agar aap use apne kisi pendrive ya pc me rakhte hai to use koi bhi copy karke us
files ko chura sakta hai or aapka important data koi bhi dekh sakta hai. Lekin agar
aapko apni files ko chori or kisi ko nahi dekhana hai to sabse bhadiya tarika hai aap us files
par password laga de kyuki agar aapki koi files ko chori bhi lega to us files
ko open nahi kar payega. Lekin ab aapke man me ye sawal aa raha hoga ke files
par password lagaye kaise. Dosto files
par password lagane ke bahut se software internet par uplabad hai lekin aaj hum
sikhege ke Microsoft office word se files par password kaise lagate hai. To
chaliye dosto sikhte hai ke hum Microsoft office word se files par password
kaise lagate hai.
Note:----
Dosto main aapko Microsoft office
word 2007 Ke virsion me file par password lagana sikha raha hu par ye trick
Microsoft office word ke sabhi virsion me kam karte hai.
Microsoft Office Word Se Files Par Password
Kaise Lagaye
Steps By Steps
Dosto agar aap apne files par password lagana
chahte hai to aapke pc me Microsoft
office word hona chaiye agar aapke pc me Microsoft office word nahi hai to
aap Download
kare.
Steps 1.
Sabse pahle aapko jis files par password
lagana hai us files ko Microsoft office word me open kare. Or fir uske bad
office button par click kare.
Steps 2.
Ab aap
Prepare>>>Encrypt Document ke option par click
kare.
Steps 3.
Ab jaise he aap Encrypt Document ke option
par click karege to aapko ek Box open hoga. usme aapko jo bhi apne files par
password lagana hai use dale or dakar OK ke button par click kare.
Ab aap
Jaise he OK ke button Par click karege to aapko ek box open hoga isme aapko
apna password re-enter karna hai matlab jo password aapne pahle wale box me
dala tha wo dobara yaha dalna hai or ok ke button par click karna hai or jab
aap ye sab karde to aapko us files ko Save Karna Hai.
Note:- Agar aap files ko save nahi
karoge to files par password nahi lagega aapko files ko jarur save karne hai.
Dosto ab aapne files par password lagana to
sikh liya hai. lekin agar aapko us files se
password ko remove yani hatana chahte hai to kaise hataye.. To chaliye
dosto sikhte hai ke files se Password ko remove yani hataye kaise.
Microsoft Office Word Me Files Se Password Ko Remove Kare Kaise.
Steps By Steps
Steps 1.
Agar aap files se password ko remove karna
chahte hai to aap us File ko Microsoft office word me apna lagaya hua password
dal kar open kare.
Steps 2.
Ab aap office button par click kare.
Steps 3.
Ab Prepare>>> Encrypt Document ke option par click
kare
Steps 4.
Ab
Jaise he aap Encrypt Document ke
option par click karege to ek box open hoga. usme aapka lagaya hua password
hoga aapko us password ko remove karna
hai or ok ke button par click karna hai.
Steps 5.
Remove karne ke bad aapko us files ko save
karna hai.
Note :- Agar aap files ko Save nahi
karoge to files se password remove nhi hoga is liye aap files ko save jarur
kare.
To dosto ab aap sikh chuke ke Microsoft
office word se files par password kaise lagate hai or remove kaise karte hai.
Agar aapko humare ye post achhe lage to aap hume comment karke jarur bataiye ya
aapke man me koi sawal hai to bhi aap hume comment karke us sawal ka jawab pa
sakte hai.
1 comments:
Write commentsGOOD
ReplyTHANKS