Friday 27 January 2017

Shiva Pal

Blogger Blog Par Post Publish Karne Ke Bad Post Ka Permalink ( URL ) Change Kaise Kare








Hi Friends,

Kuch New Sikho Me aapka sawagat karta hu aaj hum bat karne wale hai ki Blogger Blog Par Post Publish Karne Ke Bad Post Ka Permalink ( URL ) Change Kaise Karte hai, main aapko thoda simple laguage me iske bare me samjha deta hu ki aap sabhi jante hai ki post ko google search me lane ke liye hume apni blog post ka seo karna padta hai jisse humri post google search engine me show hoti hai to post ka proper seo karne ke liye hume post me permalink yani custom URL add karna padta hai Jisse hum blog post ka url customize karke targeting keywords add kar sakte hai or extra word ko delete karke ek achha short url bana sakte hai ye bahut he important hota hai but Dekhiye hota kya hai kuch new blogger ko seo ke bare me nahi pata hota hai or jab wo suruaat me koi post likhte hai to seo ko jayada serious nahi lete wo koi post likhte hai or simple use publish kar dete hai na he search description dalte hai or na he permalink ad karte hai or use publish kar dete hai but jab us blogger ko seo ke bare me pata chalta hai to wo us post ki galti ko thik karte hai jaise permalink,search description dobara add karte hai ye sab main aapko is liye bata raha hu kyuki ye mere sath ho chuka hai. but ab dekhiye hota kya hai jab hum blogger blog par koi post ko publish kar dete hai to usme permalink add nahi kar sakte hai jaise ki aap niche photo me dekh sakte hai.





ab is photo me aap dekh sakte hai ki ye post maine publish ki hui or main isme mai custom permalink add karna chahta hu but yaha par custom permalink add karne ka option he nahi aa raha hai kyuki ye post maine publish ki hui hai to aaj hum yahi sikhne wale hai ki Blogger Blog Par Post Publish Karne Ke Bad Post Ka URL yani custom permalink kaise add karte hai to jayada der na karte hue chaliye suru karte hai......



Blogger Post Publish Karne Ke Bad Permalink (URL) Kaise Change Kare

Step 1:---


First to all, aap Blogger.com par jaye or apni gmail id se login kare or aap apne jis blog ki post ka Permalink url change karna chahte hai us blog ko select kare or Dashboard Me post Ke Option par click Kare and aap jis post Ki Permalink change karna chahte hai us post ko select Kare or Edit Par click kare.




Step 2:---

Ab aapko Left Side Me ek Revert to draft Ka option dekhai dega Simple aap us par click kare.





Step 3:---

Ab aap jaise he Revert to draft Ke option par click karege to aapki Post Ki Setting Change Ho Jayegi and aap Apni Post Ki Permalink Url Change Kar payege. To ab PermaLink Ko change Karne ke liye aap simple Permalink Ke option par click kare or ab Custom Permalink Ke option par click kare or aapko jo bhi url change yani update karni hai use Dal kar done ke option par click kare and ab publish par click kare





To ab aap jaise he post ko dobara se publish karge to aapki post me custom permalink ad ho chuki hogi dekha na aapne ye kitna aasan tha or ab bhi agar aapke man me koi sawal ya sujhav hai to aap hume niche comment karke jarur bataye aapki puri help ki jayegi to Friends or kya bas aap kuch new sikho se jude rahiye or kuch new sikhte rahiye milte hai next post me.


Shiva Pal

About Shiva Pal -

Hi Friends, Mera Name Shiva Pal Hai or Kuch New Sikho Site Maine Banai Hai mujhe logo ki help karna Achha Lagta Hai Main Is Site Par Computer, Internet, Software And Ethical Hacking Ki Jankari Hindi Me Share Karta Hu. And Aap Aise He Kuch New Sikho Se Jude Rahiye And Kuch New Sikhte Rahiye.

Subscribe to this Blog via Email :